duniya mein hum sa koi sarapa-alam nahin
duniya mein hum sa koi sarapa-alam nahin
Inayatullah Raushan Badauni
MORE BYInayatullah Raushan Badauni
duniyā meñ ham sā koī sarāpā-alam nahīñ
vo din hī kaun sā hai ki jo roz-e-ġham nahīñ
har dam tire marīz kī hālat ḳharāb hai
dard aaj dil meñ kal se ziyāda hai kam nahīñ
kyā ġham mujhe miTā.e falak DhūñDh DhūñD kar
naam apnā fard-e-nāmvarī meñ raqam nahīñ
gul khil rahe haiñ āmad-e-fasl-e-bahār hai
bulbul chahak rahī hai sarīr-e-qalam nahīñ
ahl-e-qalam hoñ zer-e-nagīñ mulk-e-nazm hai
kyūñkar kahūñ ki sāhib-e-tabl-o-alam nahīñ
kyā kyā aziiz ḳhaak hue mil ke ḳhaak meñ
lekin yahāñ kisī kā kisī ko bhī ġham nahīñ
hotī hai ġhaib se mirī imdād ai falak
minnat-kash-e-ināyat-e-ahl-e-karam nahīñ
yārān-e-raftagāñ se bahut jī ko uns hai
milte agar musāfir-e-mulk-e-adam nahīñ
gar dard-e-dil yūñhīñ hai salāmat to ek din
'raushan' ye yaad rakhnā ki duniyā meñ ham nahīñ
duniya mein hum sa koi sarapa-alam nahin
wo din hi kaun sa hai ki jo roz-e-gham nahin
har dam tere mariz ki haalat KHarab hai
dard aaj dil mein kal se ziyaada hai kam nahin
kya gham mujhe miTae falak DhunDh DhunD kar
nam apna fard-e-namwari mein raqam nahin
gul khil rahe hain aamad-e-fasl-e-bahaar hai
bulbul chahak rahi hai sarir-e-qalam nahin
ahl-e-qalam hon zer-e-nagin mulk-e-nazm hai
kyunkar kahun ki sahib-e-tabl-o-alam nahin
kya kya aziz KHak hue mil ke KHak mein
lekin yahan kisi ka kisi ko bhi gham nahin
hoti hai ghaib se meri imdad ai falak
minnat-kash-e-inayat-e-ahl-e-karam nahin
yaran-e-raftagan se bahut ji ko uns hai
milte agar musafir-e-mulk-e-adam nahin
gar dard-e-dil yunhin hai salamat to ek din
'raushan' ye yaad rakhna ki duniya mein hum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.