duniya mein ek din sikka ijad hua
duniyā meñ ik din sikka ījād huā
phir agle hī din kaasa ījād huā
koī to parvāzoñ se Dartā hogā
varna kis kāran piñjra ījād huā
duniyā-bhar ke mardoñ thoḌī sharm karo
vajah tumhīñ the jo pardā ījād huā
lāzim thā ījād mukhauTe kā honā
duniyā meñ jab ā.īna ījād huā
dafn huī miTTī cement ke jangal meñ
paudhoñ kī ḳhātir gamlā ījād huā
husn akelā thoḌī aayā duniyā meñ
us ke bante hī naḳhrā ījād huā
pahle hāthoñ-hāth liyā sab ne us ko
geñd piTī tab jab ballā ījād huā
jis din zulfeñ rūThī hoñgī unglī se
us din duniyā meñ kanghā ījād huā
duniya mein ek din sikka ijad hua
phir agle hi din kasa ijad hua
koi to parwazon se Darta hoga
warna kis karan pinjra ijad hua
duniya-bhar ke mardon thoDi sharm karo
wajah tumhin the jo parda ijad hua
lazim tha ijad mukhauTe ka hona
duniya mein jab aaina ijad hua
dafn hui miTTi cement ke jangal mein
paudhon ki KHatir gamla ijad hua
husn akela thoDi aaya duniya mein
us ke bante hi naKHra ijad hua
pahle hathon-hath liya sab ne us ko
gend piTi tab jab balla ijad hua
jis din zulfen ruThi hongi ungli se
us din duniya mein kangha ijad hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.