duniya mein jo miThe dariya hote hain
duniyā meñ jo mīThe dariyā hote haiñ
vo sab us ke jūThe dariyā hote haiñ
bāhar se jo bahte dariyā hote haiñ
andar se vo pyāse dariyā hote haiñ
rone vaale tujh ko itnā ilm bhī hai
ik aañsū meñ kitne dariyā hote haiñ
bārish kī būñdoñ ne ham ko samjhāyā
kuchh qatroñ meñ kaise dariyā hote haiñ
apnī āñkheñ dhotā hai vo dariyā meñ
ab samjhā kyoñ niile dariyā hote haiñ
us gaañv se pūchho qatre kī qīmat
jis gaañv meñ sūkhe dariyā hote haiñ
us kī aañkh se nikle aañsū haiñ vo sab
raste se jo bhaTke dariyā hote haiñ
duniya mein jo miThe dariya hote hain
wo sab us ke juThe dariya hote hain
bahar se jo bahte dariya hote hain
andar se wo pyase dariya hote hain
rone wale tujh ko itna ilm bhi hai
ek aansu mein kitne dariya hote hain
barish ki bundon ne hum ko samjhaya
kuchh qatron mein kaise dariya hote hain
apni aankhen dhota hai wo dariya mein
ab samjha kyon nile dariya hote hain
us ganw se puchho qatre ki qimat
jis ganw mein sukhe dariya hote hain
us ki aankh se nikle aansu hain wo sab
raste se jo bhaTke dariya hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.