duniya mein koi waqt bhi yaksan kahan raha
duniya mein koi waqt bhi yaksan kahan raha
Fakhruddin Ghauri Faiz
MORE BYFakhruddin Ghauri Faiz
duniyā meñ koī vaqt bhī yaksāñ kahāñ rahā
ranjūr kar gayā to kabhī shādmāñ rahā
sūraj ke chaḌhne Dhalne se saa.e badal ga.e
apnī jagah na dahr meñ koī nishāñ rahā
shah-zor kal thā aaj vo kamzor ho gayā
aur bebasī meñ mā.il-e-āh-o-fuġhāñ rahā
tāqat kahīñ atā hai kahīñ musta.ār hai
rustam jo thā jahāñ meñ kabhī nā-tavāñ rahā
ho jaa.e sard ātish-e-namrūd aaj bhī
lekin ḳhalīl sā yahāñ īmāñ kahāñ rahā
bātil se ma.arka rahā roz-e-azal hī se
har-gām ḳhair-o-shar kā ajab imtihāñ rahā
do gaz zamīñ hai bil-yaqīñ tere nasīb meñ
pahuñchā ho chāñd par yā sar-e-āsmāñ rahā
duniyā ne kab kisī kā diyā saath umr bhar
insān kab kisī pe sadā mehrbāñ rahā
mar.ūb us ko bātil-o-zulmat na kar sake
īmāñ se qalb-e-'faiz' yahāñ zau-fishāñ rahā
duniya mein koi waqt bhi yaksan kahan raha
ranjur kar gaya to kabhi shadman raha
suraj ke chaDhne Dhalne se sae badal gae
apni jagah na dahr mein koi nishan raha
shah-zor kal tha aaj wo kamzor ho gaya
aur bebasi mein mail-e-ah-o-fughan raha
taqat kahin ata hai kahin mustaar hai
rustam jo tha jahan mein kabhi na-tawan raha
ho jae sard aatish-e-namrud aaj bhi
lekin KHalil sa yahan iman kahan raha
baatil se marka raha roz-e-azal hi se
har-gam KHair-o-shar ka ajab imtihan raha
do gaz zamin hai bil-yaqin tere nasib mein
pahuncha ho chand par ya sar-e-asman raha
duniya ne kab kisi ka diya sath umr bhar
insan kab kisi pe sada mehrban raha
marub us ko baatil-o-zulmat na kar sake
iman se qalb-e-'faiz' yahan zau-fishan raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.