duniya ne sada samjha diwane ko farzana

duniya ne sada samjha diwane ko farzana
Maulana Abul Aala Maududi
MORE BYMaulana Abul Aala Maududi
duniyā ne sadā samjhā dīvāne ko farzāna
farzāna haqīqat meñ thā sab meñ jo dīvāna
ik qatre se 'ālam meñ tūfān bapā kar de
ik jur'e se paidā kar mai-ḳhāne kā mai-ḳhāna
tū 'ālam-e-hastī meñ jūyā-e-sukūñ kyoñ hai
ik shorish-e-paiham ho ai himmat-e-mardāna
rindoñ ko pilā saaqī sahbā-e-junūñ-parvar
vo mai-kada-barham-kun har laġhzish-e-mastāna
ātish hai nihāñ tujh meñ phir sham' kī kyā hājat
ḳhud sho'la-e-tābāñ ban ai sozish-e-parvāna
saaqī ke taġhāful se māyūs na ho rindo
ḳhud tālib-e-gardish hai ab fitrat-e-paimāna
har but kī tajallī meñ tū ḳhud hī daraḳhshāñ hai
tū apnā pujārī hai ai sāne'-e-but-ḳhāna
kām-e-dil-o-jāñ paanā dushvār sahī 'tālib'
mumkin hai agar tujh meñ ho jur.at-e-rindāna
duniya ne sada samjha diwane ko farzana
farzana haqiqat mein tha sab mein jo diwana
ek qatre se 'alam mein tufan bapa kar de
ek jur'e se paida kar mai-KHane ka mai-KHana
tu 'alam-e-hasti mein juya-e-sukun kyon hai
ek shorish-e-paiham ho ai himmat-e-mardana
rindon ko pila saqi sahba-e-junun-parwar
wo mai-kada-barham-kun har laghzish-e-mastana
aatish hai nihan tujh mein phir sham' ki kya hajat
KHud sho'la-e-taban ban ai sozish-e-parwana
saqi ke taghaful se mayus na ho rindo
KHud talib-e-gardish hai ab fitrat-e-paimana
har but ki tajalli mein tu KHud hi daraKHshan hai
tu apna pujari hai ai sane'-e-but-KHana
kaam-e-dil-o-jaan pana dushwar sahi 'talib'
mumkin hai agar tujh mein ho jurat-e-rindana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.