duniya samajh rahi hai ki patthar uchhaal aae
duniyā samajh rahī hai ki patthar uchhāl aa.e
ham apnī pyaas jā ke samundar meñ Daal aa.e
jo phāñs chubh rahī hai diloñ meñ vo tū nikāl
jo paañv meñ chubhī thī use ham nikāl aa.e
kuchh is tarah se zikr-e-tabāhī sunā.iye
āñkhoñ meñ ḳhuun aa.e na shīshe meñ baal aa.e
samjho ki zindagī kī vahīñ shaam ho ga.ī
kirdār bechne kā jahāñ bhī savāl aa.e
guzro dayār-e-fikr se 'mansūr' is tarah
ḳhud par zavāl aa.e na fan par zavāl aa.e
duniya samajh rahi hai ki patthar uchhaal aae
hum apni pyas ja ke samundar mein Dal aae
jo phans chubh rahi hai dilon mein wo tu nikal
jo panw mein chubhi thi use hum nikal aae
kuchh is tarah se zikr-e-tabahi sunaiye
aankhon mein KHun aae na shishe mein baal aae
samjho ki zindagi ki wahin sham ho gai
kirdar bechne ka jahan bhi sawal aae
guzro dayar-e-fikr se 'mansur' is tarah
KHud par zawal aae na fan par zawal aae
- Book : Kashmakash (Pg. 121)
- Author : Mansoor Usmani
- Publication : Najma House, Baradari, Moradabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.