duniya se bahar-haal ye charcha nahin karna
duniya se bahar-haal ye charcha nahin karna
Khursheed Ambar Pratapgadhi
MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi
duniyā se bahar-hāl ye charchā nahīñ karnā
kyā chāhiye karnā mujhe aur kyā nahīñ karnā
ye dard to barsoñ kī tamanna kā sila hai
ai mere masīhā mujhe achchhā nahīñ karnā
kuchh soch ke hī tum se baḌhā.ī hai irādat
ab koī mujhe dūsrā qibla nahīñ karnā
jo qaid parindoñ ko kare Daal ke daana
tum us kī mohabbat pe bharosa nahīñ karnā
ḳhvāhish hai mirā raqs-e-junūñ dekhe zamāna
aur us kī hai tambīh tamāshā nahīñ karnā
rāteñ na guzarne lageñ be-ḳhvāb tumhārī
itnā bhī mire baare meñ sochā nahīñ karnā
sar dard mujhe apnā baḌhānā nahīñ 'ambar'
ab kār-e-masīhā nahīñ karnā nahīñ karnā
duniya se bahar-haal ye charcha nahin karna
kya chahiye karna mujhe aur kya nahin karna
ye dard to barson ki tamanna ka sila hai
ai mere masiha mujhe achchha nahin karna
kuchh soch ke hi tum se baDhai hai iradat
ab koi mujhe dusra qibla nahin karna
jo qaid parindon ko kare Dal ke dana
tum us ki mohabbat pe bharosa nahin karna
KHwahish hai mera raqs-e-junun dekhe zamana
aur us ki hai tambih tamasha nahin karna
raaten na guzarne lagen be-KHwab tumhaari
itna bhi mere bare mein socha nahin karna
sar dard mujhe apna baDhana nahin 'ambar'
ab kar-e-masiha nahin karna nahin karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.