duniya se wasta na mujhe apne haal se
duniyā se vāsta na mujhe apne haal se
vābasta zindagī hai tumhāre ḳhayāl se
parda uThā ke aap ne ye kyā sitam kiyā
dil ko jalā ke rakh diyā barq-e-jamāl se
luT jā.ūñgā jo dil se ye kāñTā nikal gayā
armāñ nikal na jaa.e dil-e-pā.emāl se
mere usuul jaise kisī ke nahīñ usuul
sab kā alag ḳhayāl hai mere ḳhayāl se
'farmān' kyoñ udaas hai chehra batā.iye
aaj aap aa rahe ho nazar kuchh niDhāl se
duniya se wasta na mujhe apne haal se
wabasta zindagi hai tumhaare KHayal se
parda uTha ke aap ne ye kya sitam kiya
dil ko jala ke rakh diya barq-e-jamal se
luT jaunga jo dil se ye kanTa nikal gaya
arman nikal na jae dil-e-paemal se
mere usul jaise kisi ke nahin usul
sab ka alag KHayal hai mere KHayal se
'farman' kyon udas hai chehra bataiye
aaj aap aa rahe ho nazar kuchh niDhaal se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.