duniya tujhe chahe kuchh bhi kahe hum jaan-e-tamanna kahte hain
duniya tujhe chahe kuchh bhi kahe hum jaan-e-tamanna kahte hain
Akhtar Azad
MORE BYAkhtar Azad
duniyā tujhe chāhe kuchh bhī kahe ham jān-e-tamannā kahte haiñ
ham terī nazar meñ ġhair sahī phir bhī tujhe apnā kahte haiñ
phūloñ meñ misl-e-gulāb hai tū tāroñ meñ hasīñ mahtāb hai tū
tū sab se achchhā lagtā hai tujhe sab se achchhā kahte haiñ
tū dilbar hai dil-dār hai tū tū jān-o-dil se pyārā hai
fitrat ne jis ko sañvārā hai tujhe husn sarāpā kahte haiñ
koī ishq kī tujh ko jaan kahe koī dil kā tujhe armān kahe
dil vāloñ kī is bastī meñ tujhe aur bhī kyā kyā kahte haiñ
pal-bhar ke liye ārām nahīñ ab us ke sivā koī kaam nahīñ
tirī sūrat dekhā karte haiñ tujh ko ā.īna kahte haiñ
tū laakh chhupā.e ishq magar chehre se ayaañ ho jaatā hai
kahne vaale to duniyā meñ mujhe aaj bhī terā kahte haiñ
duniya tujhe chahe kuchh bhi kahe hum jaan-e-tamanna kahte hain
hum teri nazar mein ghair sahi phir bhi tujhe apna kahte hain
phulon mein misl-e-gulab hai tu taron mein hasin mahtab hai tu
tu sab se achchha lagta hai tujhe sab se achchha kahte hain
tu dilbar hai dil-dar hai tu tu jaan-o-dil se pyara hai
fitrat ne jis ko sanwara hai tujhe husn sarapa kahte hain
koi ishq ki tujh ko jaan kahe koi dil ka tujhe arman kahe
dil walon ki is basti mein tujhe aur bhi kya kya kahte hain
pal-bhar ke liye aaram nahin ab us ke siwa koi kaam nahin
teri surat dekha karte hain tujh ko aaina kahte hain
tu lakh chhupae ishq magar chehre se ayan ho jata hai
kahne wale to duniya mein mujhe aaj bhi tera kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.