dupaTTe ki hawa se dur rahna
dupaTTe kī havā se duur rahnā
ḳhudārā vāhima se duur rahnā
bhale tārīf kar denā ġhazal meñ
magar tum shā.era se duur rahnā
ye tere hausloñ ko maar degī
dilāse kī davā se duur rahnā
mohabbat yaad dilvātī hai naanī
kahā thā nā balā se duur rahnā
ġhanīmat hī hai vaise hijr meñ bhī
tumhārā is adā se duur rahnā
pahuñch kar shahr ham bhī siikh leñge
parindoñ kī sadā se duur rahnā
mujhe andhe nasīhat kar rahe haiñ
nazar vaalī sazā se duur rahnā
dupaTTe ki hawa se dur rahna
KHudara wahima se dur rahna
bhale tarif kar dena ghazal mein
magar tum shaera se dur rahna
ye tere hauslon ko mar degi
dilase ki dawa se dur rahna
mohabbat yaad dilwati hai nani
kaha tha na bala se dur rahna
ghanimat hi hai waise hijr mein bhi
tumhaara is ada se dur rahna
pahunch kar shahr hum bhi sikh lenge
parindon ki sada se dur rahna
mujhe andhe nasihat kar rahe hain
nazar wali saza se dur rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.