dushman ba-nam-e-dost banana mujhe bhi hai
dushman ba-nām-e-dost banānā mujhe bhī hai
us jaisā ruup us ko dikhānā mujhe bhī hai
mere ḳhilāf sāzisheñ kartā hai roz vo
āḳhir koī qadam to uThānā mujhe bhī hai
uñglī uThā rahā hai tū kirdār par mire
tujh ko tire maqām pe laanā mujhe bhī hai
nazreñ badal rahā hai agar vo to ġham nahīñ
kāñTā ab apnī rah se haTānā mujhe bhī hai
maiñ barf-zāda kab se ajab zid pe huuñ aḌā
sūraj ko apne paas bulānā mujhe bhī hai
dushman ba-nam-e-dost banana mujhe bhi hai
us jaisa rup us ko dikhana mujhe bhi hai
mere KHilaf sazishen karta hai roz wo
aaKHir koi qadam to uThana mujhe bhi hai
ungli uTha raha hai tu kirdar par mere
tujh ko tere maqam pe lana mujhe bhi hai
nazren badal raha hai agar wo to gham nahin
kanTa ab apni rah se haTana mujhe bhi hai
main barf-zada kab se ajab zid pe hun aDa
suraj ko apne pas bulana mujhe bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.