dushman-e-jaan bhi wahi hasil-e-arman bhi wahi
dushman-e-jāñ bhī vahī hāsil-e-armāñ bhī vahī
ġham kā sāmāñ bhī vahī dard kā darmāñ bhī vahī
lutf-e-gul-gasht magar ab vo kahāñ tere baġhair
rang-e-gulshan hai vahī josh-e-bahārāñ bhī vahī
ba.ad dīvāne ke aglī sī vo raunaq na rahī
bazm-e-ḳhūbāñ hai vahī shahr-e-nigārāñ bhī vahī
aaj tak ātish-e-ġham jān-e-jahāñ kam na huī
zaḳhm haiñ ab bhī vahī sozish-e-pinhāñ bhī vahī
ḳhanda-bar-lab jo the hangām atā-e-ġham-e-dil
jaane kyā guzrī nazar aa.e pashemāñ bhī vahī
Duubā jaatā hai ye kyuuñ aaj dil-e-zār 'shakeb'
bazm-e-ahbāb vahī aish ke sāmāñ bhī vahī
dushman-e-jaan bhi wahi hasil-e-arman bhi wahi
gham ka saman bhi wahi dard ka darman bhi wahi
lutf-e-gul-gasht magar ab wo kahan tere baghair
rang-e-gulshan hai wahi josh-e-bahaaran bhi wahi
baad diwane ke agli si wo raunaq na rahi
bazm-e-KHuban hai wahi shahr-e-nigaran bhi wahi
aaj tak aatish-e-gham jaan-e-jahan kam na hui
zaKHm hain ab bhi wahi sozish-e-pinhan bhi wahi
KHanda-bar-lab jo the hangam ata-e-gham-e-dil
jaane kya guzri nazar aae pasheman bhi wahi
Duba jata hai ye kyun aaj dil-e-zar 'shakeb'
bazm-e-ahbab wahi aish ke saman bhi wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.