dushman-e-jaan se dosti kar li
dushman-e-jāñ se dostī kar lī
yuuñ miyāñ ham ne ḳhud-kushī kar lī
ek muddat se the pareshāñ kuchh
jab na sūjhā to shā.irī kar lī
kahte kahte vo ruk gayā lekin
baat bhūle se hī sahī kar lī
mom ke the bane kirich ḳhanjar
aag siine kī do gunī kar lī
dhajjiyāñ dil kī phir rafū-gar ne
sī ke āshiq se dushmanī kar lī
sar pe ilzām dil meñ dard-o-ḳhalish
yuuñ basar ham ne zindagī kar lī
vaah 'abrār' ḳhāmushī ne tirī
paar phir jadd-e-āgahī kar lī
dushman-e-jaan se dosti kar li
yun miyan hum ne KHud-kushi kar li
ek muddat se the pareshan kuchh
jab na sujha to shairi kar li
kahte kahte wo ruk gaya lekin
baat bhule se hi sahi kar li
mom ke the bane kirich KHanjar
aag sine ki do guni kar li
dhajjiyan dil ki phir rafu-gar ne
si ke aashiq se dushmani kar li
sar pe ilzam dil mein dard-o-KHalish
yun basar hum ne zindagi kar li
wah 'abrar' KHamushi ne teri
par phir jadd-e-agahi kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.