dushman ki baat jab teri mahfil mein rah gai
dushman kī baat jab tirī mahfil meñ rah ga.ī
ummīd yaas ban ke mire dil meñ rah ga.ī
tū ham se chhap gayā to tirī shakl-e-dil-fareb
tasvīr ban ke ā.īna-e-dil meñ rah ga.ī
niklā vahāñ se maiñ to mire dil kī aarzū
sar pīTtī huī tirī mahfil meñ rah ga.ī
dekhā jo qatl-e-ām to har laash par ajal
ik aah bhar ke kūcha-e-qātil meñ rah ga.ī
maiñ kyā kahūñ 'rasā' ki mire dil pe kyā banī
talvār khich ke jab kaf-e-qātil meñ rah ga.ī
dushman ki baat jab teri mahfil mein rah gai
ummid yas ban ke mere dil mein rah gai
tu hum se chhap gaya to teri shakl-e-dil-fareb
taswir ban ke aaina-e-dil mein rah gai
nikla wahan se main to mere dil ki aarzu
sar piTti hui teri mahfil mein rah gai
dekha jo qatl-e-am to har lash par ajal
ek aah bhar ke kucha-e-qatil mein rah gai
main kya kahun 'rasa' ki mere dil pe kya bani
talwar khich ke jab kaf-e-qatil mein rah gai
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 98)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.