dushman nahin ki kuchh na kaho mujhko dosto
dushman nahīñ ki kuchh na kaho mujh ko dosto
kyoñ mere muñh pe chup ho kaho kuchh to dosto
merī nazar kā aa.ina sūrat-shanās hai
merī nazar ke sāmne aao to dosto
fasl-e-bahār aane se pahle kī baat hai
ham bhī tumhāre saath the pahchāno dosto
muddat guzar ga.ī hai bayābān-o-dasht meñ
kāñTā sahī chaman meñ bulāo to dosto
jin bādaloñ meñ rang-e-shafaq tairne lage
phir us se kis karam kī tamannā ho dosto
kyā hīlā-sāz fitrat-e-duniyā kā e'tibār
dekhā hai ham ne vaqt kī āñkhoñ ko dosto
āvāz-e-bāzgasht-e-talātum hai zindagī
dariyā meñ rah ke mauj se Darte ho dosto
marham nahīñ nahīñ na sahī neshtar sahī
koī to zaḳhm-e-dil kā mudāvā ho dosto
sūrat-shanās aa.ine dhuñdlā ke rah ga.e
chehroñ se gard-e-vaqt haTāo to dosto
'sīmā' ke zehn-o-dil meñ rahegī tumhārī yaad
maqtūl bhūltā nahīñ qātil ko dosto
dushman nahin ki kuchh na kaho mujh ko dosto
kyon mere munh pe chup ho kaho kuchh to dosto
meri nazar ka aaina surat-shanas hai
meri nazar ke samne aao to dosto
fasl-e-bahaar aane se pahle ki baat hai
hum bhi tumhaare sath the pahchano dosto
muddat guzar gai hai bayaban-o-dasht mein
kanTa sahi chaman mein bulao to dosto
jin baadalon mein rang-e-shafaq tairne lage
phir us se kis karam ki tamanna ho dosto
kya hila-saz fitrat-e-duniya ka e'tibar
dekha hai hum ne waqt ki aankhon ko dosto
aawaz-e-bazgasht-e-talatum hai zindagi
dariya mein rah ke mauj se Darte ho dosto
marham nahin nahin na sahi neshtar sahi
koi to zaKHm-e-dil ka mudawa ho dosto
surat-shanas aaine dhundla ke rah gae
chehron se gard-e-waqt haTao to dosto
'sima' ke zehn-o-dil mein rahegi tumhaari yaad
maqtul bhulta nahin qatil ko dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.