dushmanon se kalam karta hun
dushmanoñ se kalām kartā huuñ
dostoñ ko salām kartā huuñ
aap hazrāt daad deñ mujh ko
pesh apnā kalām kartā huuñ
ai hasīñ dil-nashīñ tumhāre naam
aaj se sub.h-o-shām kartā huuñ
maiñ masīhā nahīñ ġharīboñ kā
haañ magar nek kaam kartā huuñ
mehnatoñ se nasīb ko apne
hukm kā maiñ ġhulām kartā huuñ
maut se jang roz laḌtī hai
zindagī ko salām kartā huuñ
dushmanon se kalam karta hun
doston ko salam karta hun
aap hazraat dad den mujh ko
pesh apna kalam karta hun
ai hasin dil-nashin tumhaare nam
aaj se subh-o-sham karta hun
main masiha nahin gharibon ka
han magar nek kaam karta hun
mehnaton se nasib ko apne
hukm ka main ghulam karta hun
maut se jang roz laDti hai
zindagi ko salam karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.