dushwari-e-hayat ko aasan na kar sake
dushvārī-e-hayāt ko āsāñ na kar sake
ham apne dard kā koī darmāñ na kar sake
tauhīn ham ne apnī gavārā na kī kabhī
izzat ko apnī hirs pe qurbāñ na kar sake
ham ne to apne aap ko ḳhud hī Dubo diyā
tūfāñ hameñ Dubone kā ehsāñ na kar sake
ishq-e-butāñ meñ haal se behāl ho ga.e
ham phir bhī kuchh najāt kā sāmāñ na kar sake
marne ke baa'd qabr kā merī nishāñ na ho
koī rafīq us pe charāġhāñ na kar sake
āshiq haqīqatan vahī hotā hai jis kā dil
taḌpe magar visāl kā armāñ na kar sake
be-kār kar diyā hai hameñ ishq ne 'azīz'
duniyā meñ koī kār-e-numāyāñ na kar sake
dushwari-e-hayat ko aasan na kar sake
hum apne dard ka koi darman na kar sake
tauhin hum ne apni gawara na ki kabhi
izzat ko apni hirs pe qurban na kar sake
hum ne to apne aap ko KHud hi Dubo diya
tufan hamein Dubone ka ehsan na kar sake
ishq-e-butan mein haal se behaal ho gae
hum phir bhi kuchh najat ka saman na kar sake
marne ke ba'd qabr ka meri nishan na ho
koi rafiq us pe charaghan na kar sake
aashiq haqiqatan wahi hota hai jis ka dil
taDpe magar visal ka arman na kar sake
be-kar kar diya hai hamein ishq ne 'aziz'
duniya mein koi kar-e-numayan na kar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.