Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dub kar bhi na paDa farq giran-jaani mein

Abbas Tabish

Dub kar bhi na paDa farq giran-jaani mein

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

    Duub kar bhī na paḌā farq girāñ-jānī meñ

    maiñ huuñ patthar tarah bahte hue paanī meñ

    ye mohabbat to bahut ba.ad qissa hai miyāñ

    maiñ ne us haath ko pakḌā thā pareshānī meñ

    raftagāñ tum ne abas Dhoñg rachāyā varna

    ishq ko daḳhl nahīñ maut arzānī meñ

    ye mohabbat bhī vilāyat tarah rakhtī hai

    hālat-e-hāl meñ ye hālat-e-hairānī meñ

    is liye jal ke kabhī raakh nahīñ hotā dil

    ye kabhī aag meñ hotā hai kabhī paanī meñ

    ik mohabbat pe mauqūf nahīñ hai 'tābish'

    kuchh baḌe faisle ho jaate haiñ nādānī meñ

    Dub kar bhi na paDa farq giran-jaani mein

    main hun patthar ki tarah bahte hue pani mein

    ye mohabbat to bahut baad ka qissa hai miyan

    main ne us hath ko pakDa tha pareshani mein

    raftagan tum ne abas Dhong rachaya warna

    ishq ko daKHl nahin maut ki arzani mein

    ye mohabbat bhi wilayat ki tarah rakhti hai

    haalat-e-haal mein ye haalat-e-hairani mein

    is liye jal ke kabhi rakh nahin hota dil

    ye kabhi aag mein hota hai kabhi pani mein

    ek mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish'

    kuchh baDe faisle ho jate hain nadani mein

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now