Dub kar ubharne mein der kitni lagti hai
Duub kar ubharne meñ der kitnī lagtī hai
raat ke guzarne meñ der kitnī lagtī hai
chunriyoñ meñ chūḌī meñ rañg kitne bhāte haiñ
rañg ke utarne meñ der kitnī lagtī hai
maañ ke peT meñ bachcha rome rome baḌhtā hai
aadmī ko marne meñ der kitnī lagtī hai
ghar ko ghar banāne meñ umr biit jaatī hai
phir makān girne meñ der kitnī lagtī hai
uñgliyoñ kī poroñ meñ kirchiyāñ utartī haiñ
kāñch ke bikharne meñ der kitnī lagtī hai
umr kaise Dhaltī he maut kaise paltī hai
chaar din guzarne meñ der kitnī lagtī hai
shāḳh kī hathelī par phuul muskurātā hai
phuul ke bikharne meñ der kitnī lagtī hai
dostī ke rishte par jab savāl uThtā hai
dost ko mukarne meñ der kitnī lagtī hai
umr bhar ke sāthī jab rāste badalte haiñ
umr ko guzarne meñ der kitnī lagtī hai
maslahat ke parde kī umr kitnī hotī hai
ye naqāb utarne meñ der kitnī lagtī hai
ek sar kī chādar ho aur paañv meñ chappal
apne saj sañvarne meñ der kitnī lagtī hai
Dub kar ubharne mein der kitni lagti hai
raat ke guzarne mein der kitni lagti hai
chunriyon mein chuDi mein rang kitne bhate hain
rang ke utarne mein der kitni lagti hai
man ke peT mein bachcha rome rome baDhta hai
aadmi ko marne mein der kitni lagti hai
ghar ko ghar banane mein umr bit jati hai
phir makan girne mein der kitni lagti hai
ungliyon ki poron mein kirchiyan utarti hain
kanch ke bikharne mein der kitni lagti hai
umr kaise Dhalti he maut kaise palti hai
chaar din guzarne mein der kitni lagti hai
shaKH ki hatheli par phul muskuraata hai
phul ke bikharne mein der kitni lagti hai
dosti ke rishte par jab sawal uThta hai
dost ko mukarne mein der kitni lagti hai
umr bhar ke sathi jab raste badalte hain
umr ko guzarne mein der kitni lagti hai
maslahat ke parde ki umr kitni hoti hai
ye naqab utarne mein der kitni lagti hai
ek sar ki chadar ho aur panw mein chappal
apne saj sanwarne mein der kitni lagti hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.