Dubna hai us se ye iqrar kar lena mera
Dūbnā hai us se ye iqrār kar lenā mirā
phir ba-āsānī samundar paar kar lenā mirā
kaun pūchhe mujh se merī gosha-gīrī kā sabab
kaun samjhe dar kabhī dīvār kar lenā mirā
ek ḳhushbū ban ke guzre sar se saare garm o sard
us kā chehra thāmnā aur pyaar kar lenā mirā
ban gayā logoñ kī shān-e-kaj-kulāhī kā savāl
apne sar ko lā.eq-e-dastār kar lenā mirā
'ramz' us ko de gayā ik tarz-e-fariyād-o-fuġhāñ
band āñkhoñ ko lab-e-iz.hār kar lenā mirā
Dubna hai us se ye iqrar kar lena mera
phir ba-asani samundar par kar lena mera
kaun puchhe mujh se meri gosha-giri ka sabab
kaun samjhe dar kabhi diwar kar lena mera
ek KHushbu ban ke guzre sar se sare garm o sard
us ka chehra thamna aur pyar kar lena mera
ban gaya logon ki shan-e-kaj-kulahi ka sawal
apne sar ko laeq-e-dastar kar lena mera
'ramz' us ko de gaya ek tarz-e-fariyaad-o-fughan
band aankhon ko lab-e-izhaar kar lena mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.