Dubne se bacha raha hai mujhe
Dūbne se bachā rahā hai mujhe
koī sāhil pe lā rahā hai mujhe
ek dariyā hai merī āñkhoñ meñ
ek sahrā bulā rahā hai mujhe
ruuh se jism mutma.in hai to
ḳhud pe ronā kyoñ aa rahā hai mujhe
vasl ke vaqt to maiñ tujh meñ thā
hijr duniyā meñ lā rahā hai mujhe
mere jaisī sadā.eñ lagtī haiñ
koī mujh sā bulā rahā hai mujhe
Dubne se bacha raha hai mujhe
koi sahil pe la raha hai mujhe
ek dariya hai meri aankhon mein
ek sahra bula raha hai mujhe
ruh se jism mutmain hai to
KHud pe rona kyon aa raha hai mujhe
wasl ke waqt to main tujh mein tha
hijr duniya mein la raha hai mujhe
mere jaisi sadaen lagti hain
koi mujh sa bula raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.