Dubne wale ki mayyat par lakhon rone wale hain
Dubne wale ki mayyat par lakhon rone wale hain
Fana Nizami Kanpuri
MORE BYFana Nizami Kanpuri
Dūbne vaale kī mayyat par lākhoñ rone vaale haiñ
phuuT phuuT kar jo rote haiñ vahī Dubone vaale haiñ
kis kis ko tum bhuul ga.e ho ġhaur se dekho bāda-kasho
shīsh-mahal ke rahne vaale patthar Dhone vaale haiñ
sone kā ye vaqt nahīñ hai jaag bhī jaao be-ḳhabaro
varna ham to tum se ziyādā chain se sone vaale haiñ
aaj sunā kar apnā fasāna ham ye kareñge andāza
kitne dost haiñ hañsne vaale kitne rone vaale haiñ
maiñ bhī unheñ pahchān rahā huuñ ġhaur se dekho bāda-kasho
shāyad shaiḳh-e-haram baiThe haiñ vo jo kone vaale haiñ
Dubne wale ki mayyat par lakhon rone wale hain
phuT phuT kar jo rote hain wahi Dubone wale hain
kis kis ko tum bhul gae ho ghaur se dekho baada-kasho
shish-mahal ke rahne wale patthar Dhone wale hain
sone ka ye waqt nahin hai jag bhi jao be-KHabaro
warna hum to tum se ziyaada chain se sone wale hain
aaj suna kar apna fasana hum ye karenge andaza
kitne dost hain hansne wale kitne rone wale hain
main bhi unhen pahchan raha hun ghaur se dekho baada-kasho
shayad shaiKH-e-haram baiThe hain wo jo kone wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.