Dubte jate the tare baadban raushan hua
Dubte jate the tare baadban raushan hua
Saeed-ul-Zafar Chughtai
MORE BYSaeed-ul-Zafar Chughtai
Dūbte jaate the taare bādbāñ raushan huā
pau phaTī ḳhurshīd ubhrā āsmāñ raushan huā
raat kahtī thī diyoñ kī TimTimāhaT kab talak
tīrgī soī zamīr-e-kun-fakāñ raushan huā
be-kasī ke dard ne lau dī jal uTThā ik charāġh
rafta rafta us se phir saarā jahāñ raushan huā
jab sahārā āḳhirī TuuTā to himmat jaag uThī
bujh ga.e shams-o-qamar apnā makāñ raushan huā
bīsiyoñ jhūTe ḳhudā the ek hārūn-al-rashīd
āñdhiyāñ uThīñ charāġh-e-pāsbāñ raushan huā
raakh meñ ab tak sulagtī haiñ dabī chingāriyāñ
baaġh saarā jal bujhā lekin kahāñ raushan huā
chaḌh rahī thī fitna-e-imroz kī debī pe bheñT
shāhid-e-fardā kā chehra nā-gahāñ raushan huā
Dubte jate the tare baadban raushan hua
pau phaTi KHurshid ubhra aasman raushan hua
raat kahti thi diyon ki TimTimahaT kab talak
tirgi soi zamir-e-kun-fakan raushan hua
be-kasi ke dard ne lau di jal uTTha ek charagh
rafta rafta us se phir sara jahan raushan hua
jab sahaara aaKHiri TuTa to himmat jag uThi
bujh gae shams-o-qamar apna makan raushan hua
bisiyon jhuTe KHuda the ek haarun-al-rashid
aandhiyan uThin charagh-e-pasban raushan hua
rakh mein ab tak sulagti hain dabi chingariyan
bagh sara jal bujha lekin kahan raushan hua
chaDh rahi thi fitna-e-imroz ki debi pe bhenT
shahid-e-farda ka chehra na-gahan raushan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.