dur baiThe hain kyun pas to aaiye
duur baiThe haiñ kyuuñ paas to aa.iye
vaqt ruktā nahīñ yuuñ na sharmā.iye
zīna-e-ishq bhī zīnat-e-bait bhī
dil meñ rakhiye qadam dil meñ bas jā.iye
chaar sū hai ghaTā hai qayāmat bapā
zulf bahr-e-karam yuuñ na bikhrā.iye
chāñd to hai hasīñ aap sā to nahīñ
baat sach hai yahī maan bhī jā.iye
maiñ huuñ bismil-nazar aap ko hai ḳhabar
mar na jā.ūñ kahīñ ab na taḌpā.iye
aap hī kā to naqsh-e-qadam chāñd hai
chāñdnī ban ke āñgan meñ chhā jā.iye
dur baiThe hain kyun pas to aaiye
waqt rukta nahin yun na sharmaiye
zina-e-ishq bhi zinat-e-bait bhi
dil mein rakhiye qadam dil mein bas jaiye
chaar su hai ghaTa hai qayamat bapa
zulf bahr-e-karam yun na bikhraiye
chand to hai hasin aap sa to nahin
baat sach hai yahi man bhi jaiye
main hun bismil-nazar aap ko hai KHabar
mar na jaun kahin ab na taDpaiye
aap hi ka to naqsh-e-qadam chand hai
chandni ban ke aangan mein chha jaiye
- Book : Dar Haqeeqat (Pg. 30)
- Author : Azhar Shams
- Publication : Rujhaan Publications, Allahabad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.