dur dil se mere wahshat nahin ki ja sakti
duur dil se mire vahshat nahīñ kī jā saktī
ab to tujh se bhī mohabbat nahīñ kī jā saktī
zulm itne kiye us ne ki vo ab qadmoñ meñ
sar bhī rakh de to muravvat nahīñ kī jā saktī
paas rahnā hī taqāzā-e-mohabbat to nahīñ
itnī sī baat pe nafrat nahīñ kī jā saktī
justujū meñ tirī maiñ jān-ba-kaf phirtā huuñ
ishq meñ ḳhud se mohabbat nahīñ kī jā saktī
saarī hairat kī hadeñ toḌ ke rakh diiñ us ne
ab kisī baat pe hairat nahīñ kī jā saktī
dur dil se mere wahshat nahin ki ja sakti
ab to tujh se bhi mohabbat nahin ki ja sakti
zulm itne kiye us ne ki wo ab qadmon mein
sar bhi rakh de to murawwat nahin ki ja sakti
pas rahna hi taqaza-e-mohabbat to nahin
itni si baat pe nafrat nahin ki ja sakti
justuju mein teri main jaan-ba-kaf phirta hun
ishq mein KHud se mohabbat nahin ki ja sakti
sari hairat ki haden toD ke rakh din us ne
ab kisi baat pe hairat nahin ki ja sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.