dur duniya se tirgi hogi
duur duniyā se tīrgī hogī
dil jalegā to raushnī hogī
kashmakash vo bhī kashmakash paiham
aur kyā sharh-e-zindagī hogī
ḳhūn-e-dil hai ki pī rahe haiñ ham
ab na hoñToñ pe tishnagī hogī
bārhā tum ne dil kī dhaḌkan meñ
merī āvāz bhī sunī hogī
kaam aa jaa.e gar mohabbat meñ
zindagī 'faiz' zindagī hogī
dur duniya se tirgi hogi
dil jalega to raushni hogi
kashmakash wo bhi kashmakash paiham
aur kya sharh-e-zindagi hogi
KHun-e-dil hai ki pi rahe hain hum
ab na honTon pe tishnagi hogi
barha tum ne dil ki dhaDkan mein
meri aawaz bhi suni hogi
kaam aa jae gar mohabbat mein
zindagi 'faiz' zindagi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.