dur dur mujhse wo is tarah KHiraman hai
duur duur mujh se vo is tarah ḳhirāmāñ hai
har qadam hai naqsh-e-dil har nigah rag-e-jāñ hai
ban ga.ī hai mastī meñ dil kī baat hañgāma
qatra thī jo sāġhar meñ lab tak aa ke tūfāñ hai
ham to pā-e-jāñ par kar bhī aa.e ik sajda
sochtī rahī duniyā kufr hai ki īmāñ hai
mere shikva-e-ġham se ālam-e-nadāmat meñ
is lab-e-tabassum par sham.a sī farozāñ hai
ye niyāz-e-ġham-ḳhvārī ye shikast-e-dildārī
bas navāzish-e-jānāñ dil bahut pareshāñ hai
muntazir haiñ phir mere hādse zamāne ke
phir mirā junūñ terī bazm meñ ġhazal-ḳhvāñ hai
fikr kyā unheñ jab tū saath hai asīroñ ke
ai ġham-e-asīrī tū ḳhud shikast-e-zindāñ hai
apnī apnī himmat hai apnā apnā dil 'majrūh'
zindagī bhī arzāñ hai maut bhī farāvāñ hai
dur dur mujh se wo is tarah KHiraman hai
har qadam hai naqsh-e-dil har nigah rag-e-jaan hai
ban gai hai masti mein dil ki baat hangama
qatra thi jo saghar mein lab tak aa ke tufan hai
hum to pa-e-jaan par kar bhi aae ek sajda
sochti rahi duniya kufr hai ki iman hai
mere shikwa-e-gham se aalam-e-nadamat mein
is lab-e-tabassum par shama si farozan hai
ye niyaz-e-gham-KHwari ye shikast-e-dildari
bas nawazish-e-jaanan dil bahut pareshan hai
muntazir hain phir mere hadse zamane ke
phir mera junun teri bazm mein ghazal-KHwan hai
fikr kya unhen jab tu sath hai asiron ke
ai gham-e-asiri tu KHud shikast-e-zindan hai
apni apni himmat hai apna apna dil 'majruh'
zindagi bhi arzan hai maut bhi farawan hai
- Book : Dastavez (Pg. 35)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.