dur ghar se kahin is tarah bhi jaya jae
duur ghar se kahīñ is tarah bhī jaayā jaa.e
der tak dhuup kī bārish meñ nahāyā jaa.e
apnī yādoñ ko mire paas koī chhoḌ gayā
ġham judā hone kā kis tarah bhulāyā jaa.e
sab parā.e hue hone se parāyā us ke
sochtā huuñ kise ab apnā banāyā jaa.e
dil dukhāne se kisī kā unheñ miltī hai ḳhushī
baat aisī hai to phir mujh ko rulāyā jaa.e
hone vaalī hai charāġhoñ kī hukūmat qaa.em
raat bhar ke liye sūraj ko chhupāyā jaa.e
ḳhāmushī dekh ke phailī huī ābādī meñ
ye parindoñ ne kahā shor machāyā jaa.e
mil ke jiine ke liye log hue haiñ yakjā
ziist kā bojh hai tanhā na uThāyā jaa.e
dur ghar se kahin is tarah bhi jaya jae
der tak dhup ki barish mein nahaya jae
apni yaadon ko mere pas koi chhoD gaya
gham juda hone ka kis tarah bhulaya jae
sab parae hue hone se paraya us ke
sochta hun kise ab apna banaya jae
dil dukhane se kisi ka unhen milti hai KHushi
baat aisi hai to phir mujh ko rulaya jae
hone wali hai charaghon ki hukumat qaem
raat bhar ke liye suraj ko chhupaya jae
KHamushi dekh ke phaili hui aabaadi mein
ye parindon ne kaha shor machaya jae
mil ke jine ke liye log hue hain yakja
zist ka bojh hai tanha na uThaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.