dur hain wo aur kitni dur
duur haiñ vo aur kitnī duur
phir bhī mirī nazroñ ke huzūr
ranj-o-musībat jaur-o-sitam
aap kī ḳhātir sab manzūr
dil par biite lab pe na aa.e
haa.e mohabbat kā dastūr
hasrat-e-dīd az diid buland
huur se behtar vāda-e-hūr
parda-e-rañg-o-bū to uThāo
hogā koī na koī zarūr
daur-e-taraqqī kyā hai 'shakīl'
duniyā kī aqloñ kā futūr
dur hain wo aur kitni dur
phir bhi meri nazron ke huzur
ranj-o-musibat jaur-o-sitam
aap ki KHatir sab manzur
dil par bite lab pe na aae
hae mohabbat ka dastur
hasrat-e-did az did buland
hur se behtar wada-e-hur
parda-e-rang-o-bu to uThao
hoga koi na koi zarur
daur-e-taraqqi kya hai 'shakil'
duniya ki aqlon ka futur
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 248)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.