dur hua ibham kahani KHatm hui
duur huā ib.hām kahānī ḳhatm huī
aa pahuñchā anjām kahānī ḳhatm huī
shahzāda shahzādī rasta bhuul ga.e
raah meñ ho ga.ī shaam kahānī ḳhatm huī
mat chheḌo vo sāz-e-ta.alluq ḳhatm huā
mat lo us kā naam kahānī ḳhatm huī
kis kī ḳhātir ab tū dhaḌaktā rahtā hai
ai dil kar ārām kahānī ḳhatm huī
sunñe vaale bas thoḌā sā sabr kareñ
qissa huā tamām kahānī ḳhatm huī
guzrī umr kī bātoñ ko dohrānā kyā
ab ḳhvāhish hai ḳhaam kahānī ḳhatm huī
yaad nahīñ hai bichhḌe vo kirdār kahāñ
yaad nahīñ kis gaam kahānī ḳhatm huī
'shabnam' aao nayā safar āġhāz kareñ
yaañ apnā kyā kaam kahānī ḳhatm huī
dur hua ibham kahani KHatm hui
aa pahuncha anjam kahani KHatm hui
shahzada shahzadi rasta bhul gae
rah mein ho gai sham kahani KHatm hui
mat chheDo wo saz-e-talluq KHatm hua
mat lo us ka nam kahani KHatm hui
kis ki KHatir ab tu dhaDakta rahta hai
ai dil kar aaram kahani KHatm hui
sunne wale bas thoDa sa sabr karen
qissa hua tamam kahani KHatm hui
guzri umr ki baaton ko dohrana kya
ab KHwahish hai KHam kahani KHatm hui
yaad nahin hai bichhDe wo kirdar kahan
yaad nahin kis gam kahani KHatm hui
'shabnam' aao naya safar aaghaz karen
yan apna kya kaam kahani KHatm hui
- Book : Masaafat Raigaan Thi (Pg. 35)
- Author : Shabnam Shakil
- Publication : Sang e Meel Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.