dur rah bhi na sakun pas bula bhi na sakun
duur rah bhī na sakūñ paas bulā bhī na sakūñ
tū vo apnā hai jise apnā banā bhī na sakūñ
ai masīhā koī tadbīr masīhā.ī kī kar
zaḳhm aisā hai ki har ik ko dikhā bhī na sakūñ
husn kī aur tab-o-tāb baḌhā detā hai
maiñ to us til kā kabhī mol chukā bhī na sakūñ
umr ke āḳhirī nukkaḌ pe mulāqāt kā dukh
yuuñ milā hai ki tire naaz uThā bhī na sakūñ
is qadar talḳh ravayya tū mire saath na rakh
zindagī meñ tujhe siine se lagā bhī na sakūñ
vo ta.alluq ko ajab moḌ pe le aayā hai
saath chal bhī na sakūñ chhoḌ ke jā bhī na sakūñ
dur rah bhi na sakun pas bula bhi na sakun
tu wo apna hai jise apna bana bhi na sakun
ai masiha koi tadbir masihai ki kar
zaKHm aisa hai ki har ek ko dikha bhi na sakun
husn ki aur tab-o-tab baDha deta hai
main to us til ka kabhi mol chuka bhi na sakun
umr ke aaKHiri nukkaD pe mulaqat ka dukh
yun mila hai ki tere naz uTha bhi na sakun
is qadar talKH rawayya tu mere sath na rakh
zindagi mein tujhe sine se laga bhi na sakun
wo talluq ko ajab moD pe le aaya hai
sath chal bhi na sakun chhoD ke ja bhi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.