dur se dekha jo apna ghar khula
duur se dekhā jo apnā ghar khulā
vasvasoñ kā zehn meñ daftar khulā
ḳhvāb kā imkān lā-mahdūd hai
ye to mujh par raat bhar so kar khulā-
do darīche ho ga.e bāhar ke band
ek darvāza mire andar khulā
tah-ba-tah dekhe zamānoñ ke nishāñ
yuuñ hamāre sāmne patthar khulā
phir qayās-ārā.iyāñ hone lagīñ
phir kisī manzar kā pas-manzar khulā
ab vahāñ darḳhvāst denī chāhiye
raat din rahtā hai jo daftar khulā
zaḳhm lag jā.egā 'āsim' jism par
jeb meñ kyoñ rakh liyā ḳhanjar khulā
dur se dekha jo apna ghar khula
waswason ka zehn mein daftar khula
KHwab ka imkan la-mahdud hai
ye to mujh par raat bhar so kar khula-
do dariche ho gae bahar ke band
ek darwaza mere andar khula
tah-ba-tah dekhe zamanon ke nishan
yun hamare samne patthar khula
phir qayas-araiyan hone lagin
phir kisi manzar ka pas-manzar khula
ab wahan darKHwast deni chahiye
raat din rahta hai jo daftar khula
zaKHm lag jaega 'asim' jism par
jeb mein kyon rakh liya KHanjar khula
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 60)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.