dur tak aain nazar dariya mein
duur tak aa.iiñ nazar dariyā meñ
kashtiyāñ garm-e-safar dariyā meñ
mauj-dar-mauj thiraktī rahī raat
chāñd kī ujlī gagar dariyā meñ
ham na bhūle kabhī un āñkhoñ ko
vo charāġhoñ kā safar dariyā meñ
kis ne chupke se kahā Duub hī jā
kaun thā pichhle pahar dariyā meñ
ham kahāñ kho.e rahe der talak
dekh kar aks-e-shajar dariyā meñ
dur tak aain nazar dariya mein
kashtiyan garm-e-safar dariya mein
mauj-dar-mauj thirakti rahi raat
chand ki ujli gagar dariya mein
hum na bhule kabhi un aankhon ko
wo charaghon ka safar dariya mein
kis ne chupke se kaha Dub hi ja
kaun tha pichhle pahar dariya mein
hum kahan khoe rahe der talak
dekh kar aks-e-shajar dariya mein
- Book : سکوت دشت (Pg. 118)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.