dur tak jin ka koi naqsh nahin hai yaro
duur tak jin kā koī naqsh nahīñ hai yaaro
aise hī qadmoñ pe apnī bhī jabīñ hai yaaro
ek saudā-e-mohabbat ke sivā duniyā meñ
merā sarmāya-e-dil kuchh bhī nahīñ hai yaaro
ham ne sar ḳham na kiyā sañg-zanoñ ke aage
bas isī jurm pe majrūh jabīñ hai yaaro
vo bhī tanhā.ī meñ rotā hai mire dil kī tarah
jaane kyoñ mujh ko ye rañgīn yaqīñ hai yaaro
dil girāñ-bār agar ho to nazāroñ kī qasam
sub.h pur-kaif hai na shaam hasīñ hai yaaro
vo to sarshār-e-ġham-e-ishq hai aur kuchh bhī nahīñ
kaun kahtā hai ki 'sarvar' bhī hazīñ hai yaaro
dur tak jin ka koi naqsh nahin hai yaro
aise hi qadmon pe apni bhi jabin hai yaro
ek sauda-e-mohabbat ke siwa duniya mein
mera sarmaya-e-dil kuchh bhi nahin hai yaro
hum ne sar KHam na kiya sang-zanon ke aage
bas isi jurm pe majruh jabin hai yaro
wo bhi tanhai mein rota hai mere dil ki tarah
jaane kyon mujh ko ye rangin yaqin hai yaro
dil giran-bar agar ho to nazaron ki qasam
subh pur-kaif hai na sham hasin hai yaro
wo to sarshaar-e-gham-e-ishq hai aur kuchh bhi nahin
kaun kahta hai ki 'sarwar' bhi hazin hai yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.