Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur ufuq ke par se aawaz ke parwardigar

Adil Mansuri

dur ufuq ke par se aawaz ke parwardigar

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    duur ufuq ke paar se āvāz ke parvardigār

    sadiyoñ soī ḳhāmushī ko sāmne aa kar pukār

    jaane kin hāthoñ ne khelā raat sāhil par shikār

    sher āvāz ko tarsā kiye suune kachhār

    ḳhvāb ke sūkhe hue ḳhākoñ meñ lazzat ġhubār

    niiñd ke dīmak-zada gatte ke pīchhe intizār

    tīrgī kaise miTegī terī nusrat ke baġhair

    āsmāñ sīḌhiyoñ se nuqra.ī faujeñ utaar

    āḳhir-e-shab sab sitāre so rahe haiñ be-ḳhabar

    koī sūraj ko ḳhabar kar do ki ab shab-ḳhūn maar

    phailtā jaatā hai kirnoñ sunahrī jaal phir

    jagmagā uTThī haiñ shamshīreñ qatār-andar-qatār

    jaane kis ko DhūñDne dāḳhil huā hai jism meñ

    haDDiyoñ meñ rāsta kartā huā piilā buḳhār

    jism miTTī na le jaa.e bahā kar saath meñ

    dil gahrā.ī meñ girtā ḳhvāhishoñ ābshār

    dur ufuq ke par se aawaz ke parwardigar

    sadiyon soi KHamushi ko samne aa kar pukar

    jaane kin hathon ne khela raat sahil par shikar

    sher ki aawaz ko tarsa kiye sune kachhaar

    KHwab ke sukhe hue KHakon mein lazzat ka ghubar

    nind ke dimak-zada gatte ke pichhe intizar

    tirgi kaise miTegi teri nusrat ke baghair

    aasman ki siDhiyon se nuqrai faujen utar

    aaKHir-e-shab sab sitare so rahe hain be-KHabar

    koi suraj ko KHabar kar do ki ab shab-KHun mar

    phailta jata hai kirnon ka sunahri jal phir

    jagmaga uTThi hain shamshiren qatar-andar-qatar

    jaane kis ko DhunDne daKHil hua hai jism mein

    haDDiyon mein rasta karta hua pila buKHar

    jism ki miTTi na le jae baha kar sath mein

    dil ki gahrai mein girta KHwahishon ka aabshaar

    Source :
    • Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 242)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now