dusra kinara bhi be-wafa kinara hai
dūsrā kinārā bhī be-vafā kinārā hai
ab to Duub jaanā hī āḳhirī sahārā hai
maiñ utar nahīñ saktā dūsre kināre par
dūsrā kinārā to dūsrā kinārā hai
mujh pe ab mohabbat meñ zahr piinā vājib hai
maiñ ne dil nahīñ haarā hausla bhī haarā hai
ās.māñ kī vus.at meñ jaane ab kahāñ hogā
vo jo merī qismat kā be-ḳhabar sitārā hai
vaqt kī adālat kā faisla yahī hai ab
maiñ bhī ik ḳhasārā huuñ tū bhī ik ḳhasārā hai
dūsre kināre par ye ḳhabar huī mujh ko
vo to is kahānī meñ tīsrā kinārā hai
maiñ ne tere hisse ke ratjage bhī kaaTe haiñ
maiñ ne tere hisse kā qarz bhī utārā hai
dusra kinara bhi be-wafa kinara hai
ab to Dub jaana hi aaKHiri sahaara hai
main utar nahin sakta dusre kinare par
dusra kinara to dusra kinara hai
mujh pe ab mohabbat mein zahr pina wajib hai
main ne dil nahin haara hausla bhi haara hai
aasman ki wusat mein jaane ab kahan hoga
wo jo meri qismat ka be-KHabar sitara hai
waqt ki adalat ka faisla yahi hai ab
main bhi ek KHasara hun tu bhi ek KHasara hai
dusre kinare par ye KHabar hui mujh ko
wo to is kahani mein tisra kinara hai
main ne tere hisse ke ratjage bhi kaTe hain
main ne tere hisse ka qarz bhi utara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.