dusron ko hamari sazaen na de
dūsroñ ko hamārī sazā.eñ na de
chāñdnī raat ko bad-duā.eñ na de
phuul se 'āshiqī kā hunar siikh le
titliyāñ ḳhud rukeñgī sadā.eñ na de
sab gunāhoñ kā iqrār karne lageñ
is qadar ḳhūb-sūrat sazā.eñ na de
maiñ daraḳhtoñ kī saf kā bhikārī nahīñ
bevafā mausamoñ kī qabā.eñ na de
motiyoñ ko chhupā sīpiyoñ kī tarah
be-vafāoñ ko apnī vafā.eñ na de
maiñ bikhar jā.ūñgā āñsuoñ kī tarah
is qadar pyaar se bad-duā.eñ na de
dusron ko hamari sazaen na de
chandni raat ko bad-duaen na de
phul se 'ashiqi ka hunar sikh le
titliyan KHud rukengi sadaen na de
sab gunahon ka iqrar karne lagen
is qadar KHub-surat sazaen na de
main daraKHton ki saf ka bhikari nahin
bewafa mausamon ki qabaen na de
motiyon ko chhupa sipiyon ki tarah
be-wafaon ko apni wafaen na de
main bikhar jaunga aansuon ki tarah
is qadar pyar se bad-duaen na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.