elan kar raha hun ki hushiyar ek taraf
e'lān kar rahā huuñ ki hushiyār ik taraf
mā'sūm ik taraf hoñ riyā-kār ik taraf
duniyā meñ karbalā se baḌā vāqi'a nahīñ
hub-dār ik taraf hue ġhaddār ik taraf
ye kis ne aa ke sehn-e-haram meñ qadam rakhā
dar ik taraf ko ho gayā dīvār ik taraf
tū aa gayā to kaam chalā gul-farosh kā
baiThā huā thā kab se ye be-kār ik taraf
ik imtihān meñ haiñ ka.ī din se titliyāñ
phuul ik taraf haiñ aap ke ruḳhsār ik taraf
saare hasīn ek taraf jam' ho ga.e
aur ho ga.e tamām vafādār ik taraf
panDit zarā hamāre sitāroñ kā haal dekh
hai pyaar ik taraf to parīvār ik taraf
'nayyar' mushā'iron meñ jo paḌhtā hai tū na sun
rakkhe haiñ tere vāste ash'ār ik taraf
e'lan kar raha hun ki hushiyar ek taraf
ma'sum ek taraf hon riya-kar ek taraf
duniya mein karbala se baDa waqi'a nahin
hub-dar ek taraf hue ghaddar ek taraf
ye kis ne aa ke sehn-e-haram mein qadam rakha
dar ek taraf ko ho gaya diwar ek taraf
tu aa gaya to kaam chala gul-farosh ka
baiTha hua tha kab se ye be-kar ek taraf
ek imtihan mein hain kai din se titliyan
phul ek taraf hain aap ke ruKHsar ek taraf
sare hasin ek taraf jam' ho gae
aur ho gae tamam wafadar ek taraf
panDit zara hamare sitaron ka haal dekh
hai pyar ek taraf to pariwar ek taraf
'nayyar' musha'iron mein jo paDhta hai tu na sun
rakkhe hain tere waste ash'ar ek taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.