ehsas-e-ashiqi ne begana kar diya hai
ehsās-e-āshiqī ne begāna kar diyā hai
yuuñ bhī kisī ne aksar dīvāna kar diyā hai
ab kyā umiid rakkhūñ ai husn-e-yār tujh se
tū ne to muskurā kar dīvāna kar diyā hai
tujh se ḳhudā hī samjhe tū ne kisī ko ai dil
mujh se bhī kuchh ziyāda dīvāna kar diyā hai
phir us ke dekhne ko āñkheñ taras rahī haiñ
yādash ba-ḳhair jis ne dīvāna kar diyā hai
mujh ko junūñ se apne shikva jo hai to ye hai
merī mohabbatoñ ko afsāna kar diyā hai
ai husn-e-roz afzūñ umrat darāz baad
donoñ jahāñ se mujh ko begāna kar diyā hai
jab dil meñ aa gayā hai ik jumbish-e-nazar ne
dīvāna kah diyā hai dīvāna kar diyā hai
mujh se hī pūchhte haiñ ye shoḳhiyāñ to dekho
mere 'jigar' ko kis ne dīvāna kar diyā hai
ehsas-e-ashiqi ne begana kar diya hai
yun bhi kisi ne aksar diwana kar diya hai
ab kya umid rakkhun ai husn-e-yar tujh se
tu ne to muskura kar diwana kar diya hai
tujh se KHuda hi samjhe tu ne kisi ko ai dil
mujh se bhi kuchh ziyaada diwana kar diya hai
phir us ke dekhne ko aankhen taras rahi hain
yaadash ba-KHair jis ne diwana kar diya hai
mujh ko junun se apne shikwa jo hai to ye hai
meri mohabbaton ko afsana kar diya hai
ai husn-e-roz afzun umrat daraaz baad
donon jahan se mujh ko begana kar diya hai
jab dil mein aa gaya hai ek jumbish-e-nazar ne
diwana kah diya hai diwana kar diya hai
mujh se hi puchhte hain ye shoKHiyan to dekho
mere 'jigar' ko kis ne diwana kar diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.