ehsas-e-gham-e-ishq ka hasil nahin hota
ehsās-e-ġham-e-ishq kā hāsil nahīñ hotā
vo dard ke jo ruuh meñ shāmil nahīñ hotā
ai zauq-e-nazar bhuul bhī jā zauq-e-nazar ko
afsāna kabhī ziist kā hāsil nahīñ hotā
ai dost vafā-sāz-e-mohabbat kī nazar meñ
bigḌī ko banā lenā to mushkil nahīñ hotā
manzil to baḌī chiiz hai rāheñ nahīñ miltīñ
jab shauq-e-talab rahbar-e-manzil nahīñ hotā
aksar mirī āñkhoñ ne bhī iz.hār kiyā hai
lekin unheñ ehsās-e-ġham-e-dil nahīñ hotā
tūfān kī āġhosh meñ ghar DhūñDne vaalā
mamnūn-e-tunak-zarfī-e-sāhil nahīñ hotā
'bāsit' vo diyā karte haiñ taskīn to lekin
ik lafz bhī taskīn ke qābil nahīñ hotā
ehsas-e-gham-e-ishq ka hasil nahin hota
wo dard ke jo ruh mein shamil nahin hota
ai zauq-e-nazar bhul bhi ja zauq-e-nazar ko
afsana kabhi zist ka hasil nahin hota
ai dost wafa-saz-e-mohabbat ki nazar mein
bigDi ko bana lena to mushkil nahin hota
manzil to baDi chiz hai rahen nahin miltin
jab shauq-e-talab rahbar-e-manzil nahin hota
aksar meri aankhon ne bhi izhaar kiya hai
lekin unhen ehsas-e-gham-e-dil nahin hota
tufan ki aaghosh mein ghar DhunDne wala
mamnun-e-tunak-zarfi-e-sahil nahin hota
'basit' wo diya karte hain taskin to lekin
ek lafz bhi taskin ke qabil nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.