ehsas-e-gham mein aaj wo yun jalwa-gar hua
ehsās-e-ġham meñ aaj vo yuuñ jalva-gar huā
rah rah ke mujh ko dil pe gumān-e-nazar huā
itnā qarīb ho ke koī jalva-gar huā
ye bhī ḳhabar nahīñ ki maiñ kab be-ḳhabar huā
guzrā hai yuuñ zamāne se begāna ho ke ishq
ġham kā asar huā na ḳhushī kā asar huā
mere qafas tak aa na sakā koī inqalāb
mujh ko to aaj tak na ġham-e-bāl-o-par huā
manzil ne chīḳh kar vahīñ āvāz dī mujhe
afsurda jis jagah mirā azm-e-safar huā
un kī nazar na mere garebāñ se haT sakī
dīvāna ho ke aaj maiñ dīvāna-gar huā
kaisī shikast-e-dil thī ki ik ik sadā ke ba.ad
ek ik hijāb uThā ke koī jalva-gar huā
ehsas-e-gham mein aaj wo yun jalwa-gar hua
rah rah ke mujh ko dil pe guman-e-nazar hua
itna qarib ho ke koi jalwa-gar hua
ye bhi KHabar nahin ki main kab be-KHabar hua
guzra hai yun zamane se begana ho ke ishq
gham ka asar hua na KHushi ka asar hua
mere qafas tak aa na saka koi inqalab
mujh ko to aaj tak na gham-e-baal-o-par hua
manzil ne chiKH kar wahin aawaz di mujhe
afsurda jis jagah mera azm-e-safar hua
un ki nazar na mere gareban se haT saki
diwana ho ke aaj main diwana-gar hua
kaisi shikast-e-dil thi ki ek ek sada ke baad
ek ek hijab uTha ke koi jalwa-gar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.