ehsas-e-zimmedari bedar ho raha hai
ehsās-e-zimmedārī bedār ho rahā hai
har shaḳhs apne qad kā mīnār ho rahā hai
āvāz-e-haq kahīñ ab rū-posh ho na jaa.e
harf-e-ġhalat barahna talvār ho rahā hai
kis naqsh kī jilā hai anfās-e-kahkashāñ meñ
vo kaun sāya-sāya dīvār ho rahā hai
minnat-gah-e-siyāhī ailān-e-ḳhair-ḳhvāhī
kam-zarf valvaloñ kā iz.hār ho rahā hai
hairat-zada hai 'rāhī' dariyā se ehtijājan
mā'sūm qatra-qatra ġhaddār ho rahā hai
ehsas-e-zimmedari bedar ho raha hai
har shaKHs apne qad ka minar ho raha hai
aawaz-e-haq kahin ab ru-posh ho na jae
harf-e-ghalat barahna talwar ho raha hai
kis naqsh ki jila hai anfas-e-kahkashan mein
wo kaun saya-saya diwar ho raha hai
minnat-gah-e-siyahi ailan-e-KHair-KHwahi
kam-zarf walwalon ka izhaar ho raha hai
hairat-zada hai 'rahi' dariya se ehtijajan
ma'sum qatra-qatra ghaddar ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.