ehsas qurbaton ka dilate hue tujhe
ehsās qurbatoñ kā dilāte hue tujhe
ham Dūbne lage haiñ bachāte hue tujhe
chalte rahe nigāh meñ laate hue tujhe
aa.e haiñ ham kahāñ pe nibhāte hue tujhe
ham ko hamāre zabt pe thā hī nahīñ yaqīn
so ro paḌe gale se lagāte hue tujhe
har baar koī chiiz tū jaatā hai toḌ kar
so Dar rahā huuñ ḳhvāb meñ laate hue tujhe
kūza-garoñ ne aaj mujhe ye diyā javāb
ham thak chuke haiñ dost banāte hue tujhe
aa paas mere mil ke manāte haiñ us kā sog
haarā huuñ maiñ bhī dost harāte hue tujhe
ehsas qurbaton ka dilate hue tujhe
hum Dubne lage hain bachate hue tujhe
chalte rahe nigah mein late hue tujhe
aae hain hum kahan pe nibhate hue tujhe
hum ko hamare zabt pe tha hi nahin yaqin
so ro paDe gale se lagate hue tujhe
har bar koi chiz tu jata hai toD kar
so Dar raha hun KHwab mein late hue tujhe
kuza-garon ne aaj mujhe ye diya jawab
hum thak chuke hain dost banate hue tujhe
aa pas mere mil ke manate hain us ka sog
haara hun main bhi dost haraate hue tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.