ehtimam-e-KHas-o-KHashak se behtar to nahin
ehtimām-e-ḳhas-o-ḳhāshāk se behtar to nahīñ
ḳhil.at-e-arsh mirī ḳhaak se behtar to nahīñ
ik nazar dekh mire dil kī taraf jān-e-murād
aa.ina sīna-e-sad-chāk se behtar to nahīñ
kyoñ sitāre mire qadmoñ kī taraf dekhte haiñ
ye zamīñ ālam-e-aflāk se behtar to nahīñ
tahniyat jubba-o-dastār kī azmat ko bahut
ye qabā dard kī poshāk se behtar to nahīñ
tishnagī abr-e-siyah ko lab-e-hasrat se na dekh
ye ghaTā dīda-e-namnāk se behtar to nahīñ
ehtimam-e-KHas-o-KHashak se behtar to nahin
KHilat-e-arsh meri KHak se behtar to nahin
ek nazar dekh mere dil ki taraf jaan-e-murad
aaina sina-e-sad-chaak se behtar to nahin
kyon sitare mere qadmon ki taraf dekhte hain
ye zamin aalam-e-aflak se behtar to nahin
tahniyat jubba-o-dastar ki azmat ko bahut
ye qaba dard ki poshak se behtar to nahin
tishnagi abr-e-siyah ko lab-e-hasrat se na dekh
ye ghaTa dida-e-namnak se behtar to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.