gale lagaen karen tumko pyar eid ke din
gale lagā.eñ kareñ tum ko pyaar eid ke din
idhar to aao mire gul-ezār eid ke din
ġhazab kā husn hai ārā.isheñ qayāmat kī
ayaañ hai qudrat-e-parvardigār eid ke din
sañbhal sakī na tabī.at kisī tarah merī
rahā na dil pe mujhe iḳhtiyār eid ke din
vo saal bhar se kudūrat bharī jo thī dil meñ
vo duur ho ga.ī bas ek baar eid ke din
lagā liyā unheñ siine se josh-e-ulfat meñ
ġharaz ki aa hī gayā mujh ko pyaar eid ke din
kahīñ hai naġhma-e-bulbul kahīñ hai ḳhanda-e-gul
ayaañ hai josh-e-shabāb-e-bahār eid ke din
sivayyāñ duudh shakar meva sab muhayyā hai
magar ye sab hai mujhe nāgavār eid ke din
mile agar lab-e-shīrīñ kā tere ik bosa
to lutf ho mujhe albatta yaar eid ke din
gale lagaen karen tum ko pyar eid ke din
idhar to aao mere gul-ezar eid ke din
ghazab ka husn hai aaraishen qayamat ki
ayan hai qudrat-e-parwardigar eid ke din
sanbhal saki na tabiat kisi tarah meri
raha na dil pe mujhe iKHtiyar eid ke din
wo sal bhar se kudurat bhari jo thi dil mein
wo dur ho gai bas ek bar eid ke din
laga liya unhen sine se josh-e-ulfat mein
gharaz ki aa hi gaya mujh ko pyar eid ke din
kahin hai naghma-e-bulbul kahin hai KHanda-e-gul
ayan hai josh-e-shabab-e-bahaar eid ke din
siwayyan dudh shakar mewa sab muhayya hai
magar ye sab hai mujhe nagawar eid ke din
mile agar lab-e-shirin ka tere ek bosa
to lutf ho mujhe albatta yar eid ke din
- Book : Kulliyat-e-akbar (Pg. 135)
- Author : Sayed Akbar husain Akbar Allahabadi
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.