unhen kyun phul dushman eid mein pahnae jate hain
unheñ kyuuñ phuul dushman eid meñ pahnā.e jaate haiñ
vo shāḳh-e-gul kī sūrat naaz se bal khaa.e jaate haiñ
agar ham se ḳhushī ke din bhī vo ghabrā.e jaate haiñ
to kyā ab eid milne ko farishte aa.e jaate haiñ
vo hañs kar kah rahe haiñ mujh se sun kar ġhair ke shikve
ye kab kab ke fasāne eid meñ dohrā.e jaate haiñ
na chheḌ itnā unheñ ai va.ada-e-shab kī pashemānī
ki ab to eid milne par bhī vo sharmā.e jaate haiñ
'qamar' afshāñ chunī hai ruḳh pe us ne is salīqe se
sitāre āsmāñ se dekhne ko aa.e jaate haiñ
unhen kyun phul dushman eid mein pahnae jate hain
wo shaKH-e-gul ki surat naz se bal khae jate hain
agar hum se KHushi ke din bhi wo ghabrae jate hain
to kya ab eid milne ko farishte aae jate hain
wo hans kar kah rahe hain mujh se sun kar ghair ke shikwe
ye kab kab ke fasane eid mein dohrae jate hain
na chheD itna unhen ai wada-e-shab ki pashemani
ki ab to eid milne par bhi wo sharmae jate hain
'qamar' afshan chuni hai ruKH pe us ne is saliqe se
sitare aasman se dekhne ko aae jate hain
- Book : Auj-Qamar (Pg. 36)
- Author : Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat Ali And Sons (1952)
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.