ejaz hai ye teri pareshan-nazari ka
ejaaz hai ye terī pareshāñ-nazarī kā
ilzām na dhar ishq pe shorīda-sarī kā
is vaqt mire kalba-e-ġham meñ tirā aanā
bhaTkā huā jhoñkā hai nasīm-e-saharī kā
tujh se tire kūche kā pata pūchh rahā huuñ
is vaqt ye aalam hai mirī be-ḳhabarī kā
ye farsh tire raqs se jo guuñj rahā hai
hai arsh-e-mo.allā mirī ālī-nazarī kā
kohre meñ taḌapte hue ai sub.h ke taare
ehsān hai shā.ir pe tirī chāragarī kā
ejaz hai ye teri pareshan-nazari ka
ilzam na dhar ishq pe shorida-sari ka
is waqt mere kalba-e-gham mein tera aana
bhaTka hua jhonka hai nasim-e-sahari ka
tujh se tere kuche ka pata puchh raha hun
is waqt ye aalam hai meri be-KHabari ka
ye farsh tere raqs se jo gunj raha hai
hai arsh-e-moalla meri aali-nazari ka
kohre mein taDapte hue ai subh ke tare
ehsan hai shair pe teri chaaragari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.