ek aahaT pe dil bana patta
ek aahaT pe dil banā pattā
TuuT kar shāḳh se girā pattā
vo agar hārtā to ro detā
maiñ ne tabdīl kar diyā pattā
mujh ko tū ne shajar-mizāj kiyā
ab mirī shāḳh par ugā pattā
zindagī hai ḳhizāñ meñ sūkhā peḌ
aur duā us pe phūTtā patā
Dher bhī ik vajūd rakhtā hai
ho jo patte kā aasrā pattā
maiñ ne pūchhā mizāj kaise haiñ
bas shajar ne girā diyā pattā
shāḳh lahrā ke vaar detī thī
peñg par har dafa nayā pattā
ek aahaT pe dil bana patta
TuT kar shaKH se gira patta
wo agar haarta to ro deta
main ne tabdil kar diya patta
mujh ko tu ne shajar-mizaj kiya
ab meri shaKH par uga patta
zindagi hai KHizan mein sukha peD
aur dua us pe phuTta pata
Dher bhi ek wajud rakhta hai
ho jo patte ka aasra patta
main ne puchha mizaj kaise hain
bas shajar ne gira diya patta
shaKH lahra ke war deti thi
peng par har dafa naya patta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.