Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aalam ne jubba-sai ki

Khwaja Mohammad Wazir

ek aalam ne jubba-sai ki

Khwaja Mohammad Wazir

MORE BYKhwaja Mohammad Wazir

    ek aalam ne jubba-sā.ī

    ai buto tum ne bhī ḳhudā.ī

    āshiqoñ ke lahū pyāsī haiñ

    machhliyāñ us kaf-e-hinā.ī

    zulf-e-pur-pech se jo dil uljhā

    biich meñ raḳh paḌā safā.ī

    murġh-e-be-bāl-o-par huuñ ai sayyād

    aarzū hai kisī rihā.ī

    ai junūñ dasht ko chaleñge ham

    hai qasam is barahna-pā.ī

    sar judā ham ne apnā kar Daalā

    aa.ī jab guftugū judā.ī

    phir gayā yaar ghar ke paas aa kar

    baḳht-e-bargashta ne burā.ī

    saikḌoñ jaame tujh pe phaTte haiñ

    dhuum hai terī mīrzā.ī

    tujh se to ham ko ai ḳham-e-abru

    thī na ummīd kaj-adā.ī

    koī qātil raah bhūlā thā

    ai ajal ne rahnumā.ī

    dil kahīñ aur ham ne aTkāyā

    be-vafāoñ se bevafā.ī

    na ga.ī zāhidoñ ke paas kabhī

    duḳhtar-e-raz ne pārsā.ī

    shahr meñ jā.egī mirī pā-posh

    qadr vaañ kyā barahna-pā.ī

    saaf hai aa.ina tan-e-pur-nūr

    hai dalīl us pe ḳhud-numā.ī

    kāsa-e-māh kyuuñ na ho pur-nūr

    barsoñ us kūche gadā.ī

    ka.aba-e-dil meñ bhī maqām kiyā

    ai buto tum ne kyā rasā.ī

    ḳhat ke aane pe bhī mukaddar hai

    sūrat ab kaun safā.ī

    bāl-o-par bhī ga.e bahār ke saath

    ab to sūrat nahīñ rihā.ī

    kis ke kūche raah bhūlā huuñ

    ḳhizr ne bhī na rahnumā.ī

    shaah kahlā.e har tarah se 'vazīr'

    bādshāhī na gadā.ī

    ek aalam ne jubba-sai ki

    ai buto tum ne bhi KHudai ki

    aashiqon ke lahu ki pyasi hain

    machhliyan us kaf-e-hinai ki

    zulf-e-pur-pech se jo dil uljha

    bich mein raKH paDa safai ki

    murgh-e-be-baal-o-par hun ai sayyaad

    aarzu hai kisi rihai ki

    ai junun dasht ko chalenge hum

    hai qasam is barahna-pai ki

    sar juda hum ne apna kar Dala

    aai jab guftugu judai ki

    phir gaya yar ghar ke pas aa kar

    baKHt-e-bargashta ne burai ki

    saikDon jame tujh pe phaTte hain

    dhum hai teri mirzai ki

    tujh se to hum ko ai KHam-e-abru

    thi na ummid kaj-adai ki

    koi qatil ki rah bhula tha

    ai ajal tu ne rahnumai ki

    dil kahin aur hum ne aTkaya

    be-wafaon se bewafai ki

    na gai zahidon ke pas kabhi

    duKHtar-e-raz ne parsai ki

    shahr mein jaegi meri pa-posh

    qadr wan kya barahna-pai ki

    saf hai aaina tan-e-pur-nur

    hai dalil us pe KHud-numai ki

    kasa-e-mah kyun na ho pur-nur

    barson us kuche ki gadai ki

    kaba-e-dil mein bhi maqam kiya

    ai buto tum ne kya rasai ki

    KHat ke aane pe bhi mukaddar hai

    surat ab kaun si safai ki

    baal-o-par bhi gae bahaar ke sath

    ab to surat nahin rihai ki

    kis ke kuche ki rah bhula hun

    KHizr ne bhi na rahnumai ki

    shah kahlae har tarah se 'wazir'

    baadshahi na ki gadai ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now