ek aalam pe bar hain hum log
ek aalam pe baar haiñ ham log
ādatan sogvār haiñ ham log
gardish-e-pā junūñ baḌhātī hai
sañg-e-rah kī pukār haiñ ham log
pichhlī sab ranjishoñ ko bhuul bhī jā
ab tire ġham-gusār haiñ ham log
jānte haiñ hunar mohabbat kā
ahl-e-dil meñ shumār haiñ ham log
ab hameñ log hañs ke milte haiñ
ab bahut sāzgār haiñ ham log
ham ne mafhūm ko zabāñ dī hai
harf kā e'tibār haiñ ham log
koī chehra to raushnī laa.e
vāhimoñ kā shikār haiñ ham log
ab tirī dostī ke qābil haiñ
dil-girafta-o-dil-figār haiñ ham log
dil churāne kā kaam karte haiñ
bar-sar-e-rozgār haiñ ham log
ek pal bhī sukūñ nahīñ miltā
kis qadar be-qarār haiñ ham log
shahryārī bhī ik nasha hai 'amīr'
tere hisse kā pyaar haiñ ham log
ek aalam pe bar hain hum log
aadatan sogwar hain hum log
gardish-e-pa junun baDhati hai
sang-e-rah ki pukar hain hum log
pichhli sab ranjishon ko bhul bhi ja
ab tere gham-gusar hain hum log
jaante hain hunar mohabbat ka
ahl-e-dil mein shumar hain hum log
ab hamein log hans ke milte hain
ab bahut sazgar hain hum log
hum ne mafhum ko zaban di hai
harf ka e'tibar hain hum log
koi chehra to raushni lae
wahimon ka shikar hain hum log
ab teri dosti ke qabil hain
dil-girafta-o-dil-figar hain hum log
dil churane ka kaam karte hain
bar-sar-e-rozgar hain hum log
ek pal bhi sukun nahin milta
kis qadar be-qarar hain hum log
shahryari bhi ek nasha hai 'amir'
tere hisse ka pyar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.